Friday, 27 January 2012

Request


Kyun  mujhse naraj hote ho, Kyun udas rahakar khud ko kasht dete ho|
Kahin logon ko pata na chale isliye, Chehre pe jhuti muskaan rakhte ho||

Ek- ek pal bhari lagta hai, Na kuch accha lagta hai|
Kuch nahin bhata hamko,  kewal ekant hi sathi hota hai||

Fir yahin par dimag hamara, apna role nibhata hai|
Gujre huye kal par, apne ghode daudata hai||

Kyun mai tumse milta tha, kyun tumse batein karta tha|
Kyun tumko shamil main apne, har sacche jhute me karta tha||

Kabhi-kabhi lagta hai aisa, ham khub samajhte ek duje ko|
Fir agle hi pal, sab kuch jhuta lagta hai||

Ab sab khatm ho gaya, ham koi baat nahi karenge|
Aham (igo) hamara hamse, ye nirnay  karwata hai||

Tang aa gaya mai is nautanki se, dil kuch aisa kehta hai|
Kewal ek insaan ke na bolne se, kya koi fark padta hai||

Fir bhi dil me ek tiis si uthti hai, sab kuch soona lagta hai|
Us ek ki muskaan ke bina, har khushi, veerana lagta hai||

Nahin rah sakte uske bina, wo ban chuki hamari aadat|
Nigal krodh ka ghoont antatah, use manana padta hai||

Uski ek muskaan se fir, lagne sab accha lagta hai|
Ab fir se naraj na hona, ANAND ko isse behad fark padta hai||

No comments:

Post a Comment