Thursday 9 February 2012

CHOCOLATE................

Chocolate,
Hamari tumhari pasand,
Prayah ladkiyon ki (mere vichaar se)|
Ek tarika,
khushiyaan manane ka|
Ek madhyam kisi ke prati,
Bhavnaon ko prakat karne ka|

Chocolate,
Kuch mitha kuch kadwa,
Jindagi sa,
Mishran,
Acche-bure anubhawon ka,
Safalta-asafalta ka,
Jay-parajay ka,
Aasha-nirasha ka,
Such-dukh ka,
Mitra-shatru ka,
Pyar-nafrat ka,
Fir bhi hamari pasand|
Kyun?
Shayed sahi aanupatik prayog,
Do sarwatha bhinn swad ka|

Chocolate,
Agar dhyan dein,
To deti ek sikh,
Jivan ke Vishay me,
Isme aate utaar chadhav ka|
Yahan Khush rahne ka ,
Kewal ek hi tarika,
Sahi sanyojan,
Samay ka,
Jine ke tarike ka,
acchi buri aadaton ka,
Na karein kewal,
Acche ki ummid,
Karein aatmasaat,
Bure ko bhi|
Mere vichaar se,
Khushi ka yahi hai,
Guru mantra, mool mantra|

Chocolate,
Hamari tumhari pasand……………………

HAPPY CHOCOLATE DAY  :-).

No comments:

Post a Comment