Saturday, 11 February 2012

A Teddy in "YOU"

Duniya ki bhid me khud ko khone na dena,
Apne andar k bacche ko kabhi rone na dena,
Rahegi zindagi yun hi shokh, chanchal aur khilkhilati,
Apne andar ke bacche ko kabhi bada mat hone dena|

HAPPY TEDDY DAY :)

Thursday, 9 February 2012

CHOCOLATE................

Chocolate,
Hamari tumhari pasand,
Prayah ladkiyon ki (mere vichaar se)|
Ek tarika,
khushiyaan manane ka|
Ek madhyam kisi ke prati,
Bhavnaon ko prakat karne ka|

Chocolate,
Kuch mitha kuch kadwa,
Jindagi sa,
Mishran,
Acche-bure anubhawon ka,
Safalta-asafalta ka,
Jay-parajay ka,
Aasha-nirasha ka,
Such-dukh ka,
Mitra-shatru ka,
Pyar-nafrat ka,
Fir bhi hamari pasand|
Kyun?
Shayed sahi aanupatik prayog,
Do sarwatha bhinn swad ka|

Chocolate,
Agar dhyan dein,
To deti ek sikh,
Jivan ke Vishay me,
Isme aate utaar chadhav ka|
Yahan Khush rahne ka ,
Kewal ek hi tarika,
Sahi sanyojan,
Samay ka,
Jine ke tarike ka,
acchi buri aadaton ka,
Na karein kewal,
Acche ki ummid,
Karein aatmasaat,
Bure ko bhi|
Mere vichaar se,
Khushi ka yahi hai,
Guru mantra, mool mantra|

Chocolate,
Hamari tumhari pasand……………………

HAPPY CHOCOLATE DAY  :-).

Wednesday, 8 February 2012

A proposal to all my friends

Janta hun ye hai jurrat,
kintu hai yahi hakikat,
aap hame bahut acche ho lagte,
ham aapke bina rah nai sakte,
hame bha gaya aapka bartav,
isliye rakhta hun ek prastav,
aap nikat bhavishya me kahin bi rahoge,
kya jivan bhar yun hi mere mitra rahoge?


Happy proposed day:)

Saturday, 4 February 2012

Reality

D moment u start trusting sm1 blindly,dat person breaks ur trust! Wen u expect ur silence 2b undrstood,ppl take ur words wrong! Gestures aren't imp evn though shown heartily..bt fake words r appreciated! So,don't make any1 ur lyf.don't b affected by any1's absence or presence bcoz wen u face darknes u ol alone who faces it! Trust urself value urself love urself...

Thursday, 2 February 2012

EK TERE SIVA.................


Mere is badle vyawhaar ka, mere ajeeb bartaav ka……………
Ek tere siva sabko kahabar hai|

Meri jhuti muskaan, meri palkon ke piche ki kahani………….
Ek tere siva sabhi padh lete hain|

Meri bahki huyi chaal, meri awaz ke piche ki khamoshi…………
Ek tere siva sabhi bhanp lete hain|

Bhid me bhi meri shanti aur , bhadakna mera choti-choti baton par………….
Meri is narajgi ko, ek tere siva sabhi samajhte hain|

Tum to mere apne ho, sab samjhe aur tum na………………
Kya karan hai, ek mere siva koi nahi janta|

Hamein pareshaan karne ki, ye bhi aapki ek ada hai…………
Ye ham jante hain, aur kewal ham samajhtein hain|

Friday, 27 January 2012

Request


Kyun  mujhse naraj hote ho, Kyun udas rahakar khud ko kasht dete ho|
Kahin logon ko pata na chale isliye, Chehre pe jhuti muskaan rakhte ho||

Ek- ek pal bhari lagta hai, Na kuch accha lagta hai|
Kuch nahin bhata hamko,  kewal ekant hi sathi hota hai||

Fir yahin par dimag hamara, apna role nibhata hai|
Gujre huye kal par, apne ghode daudata hai||

Kyun mai tumse milta tha, kyun tumse batein karta tha|
Kyun tumko shamil main apne, har sacche jhute me karta tha||

Kabhi-kabhi lagta hai aisa, ham khub samajhte ek duje ko|
Fir agle hi pal, sab kuch jhuta lagta hai||

Ab sab khatm ho gaya, ham koi baat nahi karenge|
Aham (igo) hamara hamse, ye nirnay  karwata hai||

Tang aa gaya mai is nautanki se, dil kuch aisa kehta hai|
Kewal ek insaan ke na bolne se, kya koi fark padta hai||

Fir bhi dil me ek tiis si uthti hai, sab kuch soona lagta hai|
Us ek ki muskaan ke bina, har khushi, veerana lagta hai||

Nahin rah sakte uske bina, wo ban chuki hamari aadat|
Nigal krodh ka ghoont antatah, use manana padta hai||

Uski ek muskaan se fir, lagne sab accha lagta hai|
Ab fir se naraj na hona, ANAND ko isse behad fark padta hai||

Thursday, 26 January 2012

Republic Day and Me in Varanasi :)

wo banaras ki subah,
wo suhana mausam,
wo gantantra diwas ka din,
wo sadko par bacchon ki railiyan,
wo assi ghat ki chai,
samne bahti ganga,
usme naukawon ki katar,
wo patangon ki udaan,
sath me umesh aur akash shaan,
IP Vijya me prem ka intejaar,
wo agneepath ka 1.30 ka show,
wo Kancha ki lanka,
wo Rauf laala ka surma,
wo sanjay dutt ka sanwaad "tune to rawan se uski lanka hi mang li",
wo Vijay  ka AGNEEPATH,
almost ek movie lazawab,
fir bahar pakaude ki dukan,
wo umesh ka kisi ko milne ka wada,
bas aisa hi tha aj ka mera pura din,
is din ke har pal me ek nasha tha,
jis nashe me mai khona chahta hun,
shayed ye din dobara na aayenge,
isliye is college life ke har ek din ko,
mai khul ke jeena chahta hun.